rizq ki justuju mein kise thi khabar tu bhi ho jaega raegan ya akhi teri aasuda-haali ki ummid par kar gae hum to apna ziyan ya akhi jab na tha ye bayaban-e-diwar-o-dar jab na thi ye siyahi bhari rahguzar kaise karte the hum guftugu raat bhar kaise sunta tha ye aasman ya akhi jab ye khwahish ka amboh-e-wahshat na tha shahr itna tahi-dast-e-fursat na tha kitne aabaad rahte the ahl-e-hunar har nazar thi yahan mehrban ya akhi ye giroh-e-asiran-e-kizb-o-riya bandagan-e-diram bandagan-e-ana hum faqat ahl-e-dil ye faqat ahl-e-zar umr kaise kategi yahan ya akhi khud-kalami ka ye silsila khatm kar gosh-o-awaz ka fasla khatm kar ek khamoshi hai phaili hui sar-basar kuchh sukhan chahiye darmiyan ya akhi jism ki khwahish se nikal kar chalen zawiya justuju ka badal kar chalen dhundne aagahi ki koi rahguzar ruh ke waste saeban ya akhi han kaha tha ye hum ne bichhadte hue laut aaenge hum umr dhalte hue hum ne socha bhi tha wapsi ka magar phir ye socha ki tu ab kahan ya akhi khud-shanasi ke lamhe baham kab hue hum jo the dar-haqiqat wo hum kab hue tera ehsan ho tu bata de agar kuchh hamein bhi hamara nishan ya akhi qissa-e-ranj-o-hasrat nahin mukhtasar tujh ko kya kya bataegi ye chashm-e-tar aatish-e-gham mein jalte hain qalb-o-jigar aankh tak aa raha hai dhuan ya akhi tu hamein dekh aa kar sar-e-anjuman yun samajh le ki hain jaan-e-bazm-e-shukhan ek to rudad dilchasp hai is qadar aur us par hamara bayan ya akhi umr ke bab mein ab riayat kahan samt tabdil karne ki mohlat kahan dekh baad-e-fana khatkhatati hai dar khatm hone ko hai dastan ya akhi ho chuka sab jo hona tha sud-o-ziyan ab jo sochen to kya rah gaya hai yahan aur kuchh fasle ka ye rakht-e-safar aur kuchh roz ka naqd-e-jaan ya akhi