pur-kashish jalwa-e-jaanan hai khuda khair kare jite ji maut ka saman hai khuda khair kare husn-e-be-parda khiraman hai khuda khair kare ek nae hashr ka saman hai khuda khair kare naghma-e-zist ki be-sakhta lai ko sun kar dard phir silsila-jumban hai khuda khair kare har ishaara nae afkar ka aaina hai har sukhan uqda-e-pechan hai khuda khair kare jaane kis rang pe aa jae mera josh-e-junun aamad-e-fasl-e-bahaaran hai khuda khair kare jis tasawwur se ki ghabrai thi meri fitrat phir wahi khwab-e-pareshan hai khuda khair kare iltibas aap ko jab se hai wafaon pe meri dil ghariq-e-gham-o-hirman hai khuda khair kare banda-e-hirs-o-hawas aaj hai mazhab ka naqib kitna badla hua insan hai khuda khair kare jalwa-e-dost ne wo sehr kiya hai ki 'azim' dil shararon se farozan hai khuda khair kare