pur-shor talatum ka mudawa koi aahat sangin faza mein thi dilasa koi aahat be-dard hawaon ne hirasan to kiya tha thi sath magar un ke shanasa koi aahat jab kali ghata qahr ka saman bani thi de kar gai bijli ka ujala koi aahat goshe mein tasawwur jahan bimar pada tha karti thi mohabbat se ishaara koi aahat khamosh khayalon ke qafas mein tu pada rah jagegi nahin dar pe dobara koi aahat sailab ke narghe mein ghiri jab se tamanna ek sapna dikhati hai suhana koi aahat karti hai kabhi ghaiz ki banhon ko pakad kar bechain samundar mein tamasha koi aahat ek yaad ka aanchal jo uda tez hawa mein dene lagi hamdard bulawa koi aahat rahmat bhari aankhon se zara dekhna 'jafar' tufan mein dhunde hai sahaara koi aahat