purana dostana chahte hain in aankhon ka thikana chahte hain nahin chahat ka koi bhi guzar par tumhein hum yaad aana chahte hain unhen chahat ka koi dhab nahin jo mohabbat aazmana chahte hain angare bhar ke chashm-e-arzu mein sitare shab jalana chahte hain lagi dil ki bujhani hai hamein so wajud-e-his mitana chahte hain kise diwangi se wasta hai yahan to sab diwana chahte hain hai dil-basti ke bashindon se shikwa so ye buniyaad dhana chahte hain unhen meri qaza ki ittilaa ho suna hai laut aana chahte hain