kab kis baat se dil TuTa hai apni kis se yari hai

kab kis baat se dil tuta hai apni kis se yari hai
meri wahshat naraazi hai aur wo sirf tumhaari hai

angdai ne kale baadal dal diye hain shanon par
chah ne gesu khol diye hain din ne raat guzari hai

ruh se ruh ka mel hai yani ruhon ki parchhai mein
jism pe jism ki aaraish hai sharm ki parda-dari hai

mujh ko in kaliyon ki rangat aur ada se kya matlab
bhanwaron ki phulon se sirf hawas ki rishtedari hai

har ehsas naya ek lafz aur har ek lafz naya ehsas
jismon ki uryan takhti par poron ki fankari hai

ishq junun hai ishq sukun hai ishq hi ranj-o-guman yani
ishq dilon ka aib nahin hai zehnon ki purkari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close