mujhe apni pasti ki sharm hai teri rifaton ka khayal hai magar apne dil ko main kya karun use phir bhi shauq-e-visal hai is ada se kaun ye jalwa-gar sar-e-bazm-e-husn-e-khayal hai jo nafas hai mast-e-bahaar hai jo nazar hai gharq-e-jamal hai unhen zid hai arz-e-visal se mujhe shauq-e-arz-e-visal hai wahi ab bhi un ka jawab hai wahi ab bhi mera sawal hai teri yaad mein hua jab se gum tere gum-shuda ka ye haal hai ki na dur hai na qarib hai na firaq hai na visal hai teri bazm-e-khalwat-e-la-makan tera aastan mah-o-kahkashan magar ai sitara-e-arzu mujhe aarzu-e-visal hai main watan mein rah ke bhi be-watan ki nahin hai ek bhi ham-sukhan hai koi sharik-e-gham-o-mehan to wo ek nasim-e-shumal hai main bataun waiz-e-khush-nawa hai jahan-o-khuld mein farq kya ye agar fareb-e-khayal hai wo fareb-e-husn-e-khayal hai yahi dad-e-qissa-e-gham mili ki nazar uthi na zaban mili faqat ek tabassum-e-sharmagi meri be-kasi ka maal hai wo khushi nahin hai wo dil nahin magar un ka saya sa ham-nashin faqat ek gham-zada yaad hai faqat ek fasurda khayal hai kahin kis se 'akhtar'-e-be-nawa hamein bazm-e-dahr se kya mila wahi ek saghar-e-zahr-e-gham jo harif-e-nosh-e-kamal hai