purane danw par har din nae aansu lagata hai wo ab bhi ek phate rumal par khushbu lagata hai use kah do ki ye unchaiyan mushkil se milti hain wo suraj ke safar mein mom ke bazu lagata hai main kali raat ke tezab se suraj banata hun meri chadar mein ye paiwand ek jugnu lagata hai yahan lachhman ki rekha hai na sita hai magar phir bhi bahut phere hamare ghar ke ek sadhu lagata hai namazen mustaqil pahchan ban jati hai chehron ki tilak jis tarah mathe par koi hindu lagata hai na jaane ye anokha farq is mein kis tarah aaya wo ab collar mein phulon ki jagah bichchhu lagata hai andhere aur ujale mein ye samjhauta zaruri hai nishane hum lagate hain thikane tu lagata hai