dekh kar kurti gale mein sabz dhani aap ki dhan ke bhi khet ne ab aan mani aap ki kya tajjub hai agar dekhe to murda ji uthe chain nefe ki dhalak pedu pe aani aap ki hum to kya hain dil farishte ka bhi kafir chhin le tuk jhalak dikhla ke phir angiya chhupani aap ki aa pade do sau baras ke murda-be-e-jaan mein jaan jis ke upar do ghadi ho mehrbani aap ki chhalle ghairon pas to wo khatam-e-zar ai nigar hai hamare pas bhi ab tak nishani aap ki waqt to jata raha par baat baqi rah gai hai ye jhuti dosti ab hum ne jaani aap ki kya ajab surat raqib-e-ru-siyah ki dekh kar khauf se haalat hui ho pani pani aap ki ek aalam kohkan ki tarah sar phodega ab gar isi surat rahi shirin-zabani aap ki kya hamein lagti hai pyari jab wo kahti hai 'nazir' hai miyan kuchh in dinon na-mehrbani aap ki