purane ghar mein naya ghar basana chahta hai wo sukhe phul mein khushbu jagana chahta hai na jaane kyun tere masum jhut ko aakhir zamana sach ki tarah aazmana chahta hai abhi tapas se nikla nahin tera sadhu ki phir se ek nai dhuni ramana chahta hai ye aab-dida thahar jae jhil ki surat ki ek chand ka tukda nahana chahta hai khud apni aankh mein pani utarne wala hamari aankh ko sahra banana chahta hai tujhe to bandh ke rakkha hai nisti ne 'shahab' tu hai ki hadd-e-fusun ko mitana chahta hai