purane log nae karobar dete hain khizan kharid ke fasl-e-bahaar dete hain zarur un ko mohabbat se wasta hoga jo ranj-o-gham ke ewaz hum ko pyar dete hain shab-e-visal ki lazzat unhen nasib hui jo intizar ki ghadiyan guzar dete hain hamare ashk mohabbat mein qimti thahre gham-e-hayat ki qismat sanwar dete hain milan ki rut pe bashar kya darakht aur paude sab apni apni qabaen utar dete hain hamari jaan ki qimat chuka rahe hain wo mila ke khak mein musht-e-ghubar dete hain hum apne aap mein khud ba-waqar hain 'asi' jo be-waqar hain apna waqar dete hain