rang khushbu aur mausam ka bahana ho gaya apni hi taswir mein chehra purana ho gaya shelf par rakkhi kitaben sochti hain raat din ghar se daftar ka safar kitna suhana ho gaya kis qadar shohrat hai in hanste hue lamhat mein aankh se guzra har ek manzar purana ho gaya ab meri tanhai bhi mujh se baghawat kar gai kal yahan jo kuchh hua tha sab fasana ho gaya yaad aati jab kabhi ehsas ki nilam-pari ghar ke kale dew ka qissa purana ho gaya