purani yaad ki tamam kirchiyan liye hue

purani yaad ki tamam kirchiyan liye hue
udas sham aa gai paheliyan liye hue

tapak pada lahu uchhalti machhliyon ko dekh kar
kabhi mile the tum bhi kaj-kulahiyan liye hue

abhi to maut se hain dur zindagi ki pyas hai
kabhi chalenge us taraf rawaniyan liye hue

thahar zara mere raqib dost sath sath chal
hum us ki or ja rahe hain kashtiyan liye hue

sadaen aa rahin dayar-e-gham ka bab bhi khula
milegi raat aashiqon ki siskiyan liye hue

dhuan dhuan faza sabhi sitare gum hue kahin
kisi ne khol di hai zulf sardiyan liye hue

main kho raha hun khud ko har talash khatm ho rahi
meri ghazal mili mujhe tasalliyan liye hue

nahin nahin abhi dilon ki bastiyan ujad do
ki chal rahi ye nasl-e-nau buraiyan liye hue

koi mera bhi ho sake ye chahta nahin khuda
ata hui hain raunaqen udasiyan liye hue

wo aakhiri sahar hamein aziz thi kabhi bahut
jahan bichhad gae the tum shitabiyan liye hue

safed rang zindagi ka dagh dagh ho gaya
tadap raha tamam shab siyahiyan liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close