hazaron dard yakja ho ke aankhen dho rahe hain

hazaron dard yakja ho ke aankhen dho rahe hain
ye rut girya ki hai har samt aansu ho rahe hain

hawa-e-khwab-e-khush ne thi hamari nind todi
so ek gahri udasi odh li hai so rahe hain

hamein rakhne the apne naqsh-e-pa bhi surkhiyon mein
so apni rah mein kuchh aur kante bo rahe hain

badi khwahish thi hum ko qais hone ki so ho gae
na jaane kab se sar par ek sahra dho rahe hain

kahani bhi tumhaari aur aham kirdar bhi tum
hamara zikr kya hum jo rahe hain so rahe hain

achanak khamushi se bhar gae hain sab wagarna
zamane tak hamare zakhm qissa-go rahe hain

ajab si bad-hawasi hai hamein koi batae
hamein kya dhundhna hai aur hum kya kho rahe hain

zara sambhlo tumhaari wahshaton ke zikr 'salman'
jahan hone nahin the ab wahan bhi ho rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close