pure qad se main khada hun samne aaega kya main tera saya nahin hun mujh ko samjhaega kya aandhiyon par ud raha hai jin parindon ka hujum aasman ki wusaton se laut kar aaega kya ek nae manzar ka khaka aasman par kyun nahin chand apni chandni par yunhi itraega kya fasl-e-gul ke baad patjhad yun to ek mamul hai khauf ban kar phir dar-o-diwar par chhaega kya jaanib-e-shahr-e-ghazalan phir chali sham-e-firaq dasht ki be-khwabiyon ka raazdan aaega kya khun ki roti safedi be-sada sazon ka shor be-sar-o-pa git koi be-zaban gaega kya hai ghazal aazad goya be-dar-o-diwar ghar hum ko bhi is sinf-e-be-ja ka hunar aaega kya