rang khake mein naya bhar dunga main dushmanon se dosti kar lunga main phir nahin aane ka khwabon mein tere shahr se tere agar jaunga main mein bahut ziddi hun lekin jaan-e-man tu bulae to zarur aaunga main hai tazadon ka chaman mera wajud fasl-e-gul ka marsiya gaunga main kanch ke alfaz kaghaz par na rakh sang-e-mani ban ke takraunga main raste ke waste ek jam do nim shab hai ab to ghar jaunga main