puri mere junun ki zarurat na kar sake sahra-e-jaan bhi ho to kifalat na kar sake sai-o-amal ki ruh mohabbat ke sath thi wo kuchh na kar sake jo mohabbat na kar sake duniya mein jitne gham mile dil mein basa liye hum sirf tere gham pe qanaat na kar sake apna hi haal-e-zar sunate rahe tujhe lekin tere sitam ki shikayat na kar sake taraj kar ke ishq ki basti chale gae tum fath kar ke dil pe hukumat na kar sake duniya mein ab bhi log wafa ke hain muddai hasil hamare haal se ibrat na kar sake hai kafir-e-adab mere mashrab mein ai 'saba' shair jo ehtiram riwayat na kar sake