larazte tutte girte hue jahan se nikal ziyaada khauf-zada hai to is makan se nikal hamare dil ka talluq nahin zamane se sau apni khwahish-e-duniya utha yahan se nikal tere jamal ki lau tere baad rah jae diye jalata hua is jahan-e-jaan se nikal main rab ke nur se mahw-e-kalam hun sar-e-sham su-e-charagh-e-dua tu bhi darmiyan se nikal ab is ke baad qayamat hai tu bhi ai 'shahzad' duaen padhta hua shahr-e-be-aman se nikal