pursish jo hogi tujh se jallad kya karega le khun main ne bakhsha tu yaad kya karega hun dam mein pur-afshan aur sadgi se hairan kyun tez ki hain chhuriyan sayyaad kya karega zalim ye soch kar ab deta hai bosa-e-lab jab hont si diye phir fariyaad kya karega zanjir tar-e-daman hai tauq ek gareban zor-e-junun na kam ho haddad kya karega hum dub kar marenge hasrat rahegi tujh ko jab khak hi na hogi barbaad kya karega yaqub qata kar den ummid-e-wasl dil se yusuf sa banda koi aazad kya karega dil le ke puchhta hai tu kis ka shefta hai bhula abhi se zalim phir yaad kya karega ai khatt-e-bayaz aariz darkar hai jo tujh ko tahrir husn ki kuchh rudad kya karega kunj-e-qafas se ek din hogi rihai apni mar jaenge to aakhir sayyaad kiya karega misl-e-sipand dil hai betab soz-e-gham mein rah jaega tadap kar fariyaad kya karega ai shaikh bhar gaya hai kyun waz ki hawa mein rish-e-safed apni barbaad kya karega zulm-o-sitam se bhi ab zalim ne hath khincha is se sitam wo badh kar ijad kya karega az-bas-ki be-hunar hun main nang-e-mo'tariz hun mazmun pe mere koi irad kya karega ai nazm jis ko chahe wo de bahisht dozakh namrud kya karega shaddad kya karega