putla-e-KHak mein hai bhed chhupa kya kahiye

putla-e-khak mein hai bhed chhupa kya kahiye
khol den phir to ho ek shor bapa kya kahiye

hum hon madum jahan aap hon mumkin hi nahin
kab ziya shams se hoti hai juda kya kahiye

tum ko hi chhod den ya khud ko hi hum kho baithen
utni hi baat mein milta hai pata kya kahiye

kaun zahir hai siwa aap ke jab main ne kaha
ho gae phir to khafa ho ke khafa kya kahiye

chashm-e-ahwal hain haqiqat mein shariat wale
donon aalam mein nahin tere siwa kya kahiye

tu chhupa khud ko agar hum ko ayan chahta hai
yahi aati hai mere dil se sada kya kahiye

hashr tak hosh mein hum aa nahin sakte hain 'asad'
pi chuke saqi se wo jam-e-fana kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close