jis ka dil jam-e-fana se har ghadi sarshaar hai us ki surat hai kahan wo surat-e-dildar hai aisi tanhai mili rah-e-haqiqat mein hamein yas-o-hasrat ke siwa koi nahin gham-khwar hai hum to hain dair-o-haram mein ek surat dekhiye tum mein ai shaikh-o-barahman kis liye takrar hai kyon kiya hai tu ne maikhane ke darwaze ko band aaj kya aaya nahin saqi koi mai-khwar hai sar ko na katwata gar ramz-e-fana ko jaanta kab kamal-e-ishq mein mansur tu hoshiyar hai jis ko aazadi mili hai ishq mein phir wo mudam kaba-o-but-khana mein phirta qalandar-war hai qum bi-izni shams-e-din ka haq hai kahna ai 'asad' ghain jab gham ho gai tab ain ka izhaar hai