putliyon par tere chehre ko banaya hua hai samne aankh ke yun tujh ko sajaya hua hai dar-o-diwar-e-tamaddun ko giraya jis ne hae wo hashr hamara hi uthaya hua hai apni parwaz pe nazan jo uda phirta hai wo parinda bhi hamara hi udaya hua hai do-ghadi aankh laga lo karo ehsan un par tum ne khwabon ko kai din se jagaya hua hai zor tutega hawa ka to kahan jaega jis ghubare ko fazaon mein udaya hua hai mere chille ki riyazat ka samar dekh zara apne ham-zad ko pahlu mein bithaya hua hai