so ke patthar pe kabhi dekh ki sona kya hai taki malum tujhe ho ye bichhauna kya hai meri tanhai kisi roz jo mujh se khele ain-mumkin hai samajh jaun khilauna kya hai bij koi bhi ho wo jad to pakad hi lega tai ye karna hai ki nam khak mein bona kya hai yun na hone pe mere tujh ko na hairat hogi main agar tujh ko bata dun ki ye hona kya hai zikr-e-wahshat mein agar tut giri hai 'faez' chhod tasbih ke danon ko pirona kya hai