pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain aaina dekh ke munh chum liya karte hain wasl ka lutf mujhe wasl se pahle hi mila jab kaha yar ne ghabra ke ye kya karte hain is qadar tha mujhe ulfat mein bharosa un par ki jafa bhi to ye samjha ki wafa karte hain hai yahi arz khuda se ki fulan but mil jae wahi achchhe jo namazon mein dua karte hain lab kisi ke jo hile kan udhar dhyan udhar dil laga kar wo mera zikr suna karte hain subah ko dekh ke aaine mein bose ka nishan muskuraate hue honton mein gila karte hain kaise kaise mujhe be-sakhta milte hain khitab ghussa aata hai to kya kya wo kaha karte hain kya hua mujh ko raqibon ne agar di tazim teri mahfil mein to fitne hi utha karte hain kan baaton ki taraf aankh hai kaamon ki taraf ho ke anjaan mera zikr suna karte hain chin peshani pe hai mauj-e-tabassum lab mein aise hansmukh hain ki ghusse mein hansa karte hain bas to chalta nahin kuchh kah ke unhen kyun hon zalil hum to apna hi lahu aap piya karte hain is ishaare ke fida aise tajahul ke nisar mar kar aankh wo munh pher liya karte hain jalse hi jalse hain jab se wo hue khud-mukhtar koi itna nahin kahta ki ye kya karte hain aashiqana hai aqida bhi hamara 'mail' le ke hum nam-e-butan zikr-e-khuda karte hain