aise wo dastan khinchta hai har yaqin par guman khinchta hai teri furqat ka ek ek lamha jism se meri jaan khinchta hai jab bhi main aasman ko chhune lagun panw ko mehrban khinchta hai manzil-e-zist ke kisi bhi taraf apni jaanib nishan khinchta hai main haqiqat jahan bhi likhta hun wo wahi dastan khinchta hai jab haqiqat bayan karun us ki mere munh se zaban khinchta hai sar-zamin-e-watan pe ab wo 'nabil' apna har su makan khinchta hai