pyar ka dard ka mazhab nahin hota koi kaba-o-dair se matlab nahin hota koi sach to ye hai ki main har bazm mein tanha hi raha yun magar pas mere kab nahin hota koi jaan-o-iman sahi sab kuchh sahi tu mere liye hae kis munh se kahun sab nahin hota koi ek saya tha jise main ne pakadna chaha wo jo hota tha koi ab nahin hota koi chandni phul hawa jam sitare khushbu zahr ke nam hain jis shab nahin hota koi mujh ko khud mujh se bhi milne nahin deti duniya chhup ke milta hun kabhi jab nahin hota koi jis ko mil jae ye daulat ho mubarak us ko sher sab ke liye mansab nahin hota koi