pyar ka qarz adhura hai chukaun kaise tujh se wada jo kiya hai wo nibhaun kaise mujh ko pardes liye jati hai ye fikr-e-maash sochta hun ki tujhe chhod ke jaun kaise ab to har ek yahan apni hi dhun mein hai magan haal-e-dil apna kise aur sunaun kaise ek tufan hai nafrat ka mere chaaron taraf pyar ek kaghazi kashti hai bachaun kaise ab to aansu bhi nahin hain meri in aankhon mein dil mein jo aag lagi hai wo bujhaun kaise ek tera gham hi uthaya nahin jata mujh se bojh duniya ka bata tu hi uthaun kaise meri khuddari ijazat nahin deti 'saghar' sar dar-e-ghair pe apna main jhukaun kaise