sabhi ke sine mein dil ke bajae patthar hai

sabhi ke sine mein dil ke bajae patthar hai
zara sanbhal ke yahan har qadam pe thokar hai

use nazar nahin aate uyub apne hi
wo shakhs mana hua ek aaina-gar hai

chhupae baithi hai kitne hi raaz sine mein
hamari zat bhi jaise koi samundar hai

tumhaare jism ki khushbu basi hai sanson mein
wajud jis se abhi tak mera moattar hai

tumhaara tarz-e-takallum bahut latif sahi
tumhaari baat mein poshida tir-o-nashtar hai

ba-roz-e-hashr main kya munh dikhaunga us ko
na jaane kitne gunahon ka bojh sar par hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close