pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di chand si koi surat khwab mein dikhai di kis ne meri palkon pe titliyon ke par rakkhe aaj apni aahat bhi der tak sunai di hum gharib logon ke aaj bhi wahi din hain pahle kya asiri thi aaj kya rihai di barishon ke chehre par aansuon se likhna hai kuchh na koi padh pae aisi raushnai di aasman zamin rakh kar donon ek mutthi mein ek zara si ladki ne pyar ki khudai di ye tunak-mizaji to khair us ki fitrat mein hai warna us ne chahat bhi hum ko intihai di ye tanaw qudrat ne do dilon mein kyun rakkha mujh ko kaj-kulahi di us ko kaj-adai di