teri nigah faromaya hath hai kotah tera gunah ki nakhil-e-buland ka hai gunah gala to ghont diya ahl-e-madarsa ne tera kahan se aae sada la ilah il-lallah khudi mein gum hai khudai talash kar ghafil yahi hai tere liye ab salah-e-kar ki rah hadis-e-dil kisi darwesh-e-be-galim se puchh khuda kare tujhe tere maqam se aagah barahna sar hai to azm-e-buland paida kar yahan faqat sar-e-shahin ke waste hai kulah na hai sitare ki gardish na bazi-e-aflak khudi ki maut hai tera zawal-e-nemat-o-jah utha main madrasa o khanqah se ghamnak na zindagi na mohabbat na marifat na nigah