pyar ki rah mein aise bhi maqam aate hain sirf aansu jahan insan ke kaam aate hain un ki aankhon se rakhe kya koi ummid-e-karam pyas mit jae to gardish mein wo jam aate hain zindagi ban ke wo chalte hain meri sans ke sath un ko aise kai andaz-e-khiram aate hain hum na chahen to kabhi sham ke sae na dhalen hum tadapte hain to subhon ke salam aate hain hum pe ho jaen na kuchh aur bhi raaten bhaari yaad aksar wo hamein ab sar-e-sham aate hain chhin gae hum se jo haalat ki rahon mein 'qatil' un hasinon ke hamein ab bhi payam aate hain