kya us ki sifat mein guftugu hai jaisa tha wahi hai jo tha su hai aankhen hain to dekh le kahun kya hazir nazir hai ru-ba-ru hai yak bain ki nazar mein ek hai ga ahwal ki nigah mein go ki do hai tu sair kare hai jis chaman ki har gul mein saba usi ki bu hai wo tujh mein hai tu hai usi mein har-dam kya us ka suragh-o-justuju hai ai shaikh tu us ki kuchh haqiqat mat puchh ye sirr-e-gu-ma-gu hai apni apni si sab kahen hain kab uqda ye hal kisu se ho hai ye masala la-jawab hai ga chup rahna yahan hamari khu hai chaalis baras hue ki 'hatim' mashshaq-e-qadim o kohna-go hai