pyas ke bedar hone ka koi rasta na tha is taraf baadal nahin the us taraf dariya na tha raat ki tarikiyan pahchan leti thin use ruh ki aawaz tha wo jism ka saya na tha teri yaaden to charaghon ki qataren ban gain pahle bhi ghar mein ujala tha magar aisa na tha chand qatron ke liye dariya ko kyun taklif di meri jaanib dekh lete main koi sahra na tha raat aai to charaghon ki badi tazim thi aur jab guzri to koi puchhne wala na tha