pyas ne jam ki qimat ko baDha rakkha hai

pyas ne jam ki qimat ko badha rakkha hai
warna kya jam mein talkhi ke siwa rakkha hai

hum ko aa kar na dara sail-e-hawa se ai dost
hum ne dipak ko nahin dil ko jala rakkha hai

jis ka jo haq hai wo bakhsha hai barabar hum ne
aankh mein aks tera dil mein khuda rakkha hai

man ke paiwand lage kapdon se dil tang na ho
us ne tere liye malbus naya rakkha hai

dushman-e-habs hai wo qasid-e-khushbu hai wo
isi nisbat se to nam us ka hawa rakkha hai

mera irfan-e-siyahi na mukammal ho jae
ek rauzan mere zindan mein khula rakkha hai

wahi tufan ka suwagat kiya karta hai 'qamar'
jis ne kashti ko kinare se juda rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close