qarib hun pa teri dastaras se bahar hun main dushmanon ke mahalle mein dost ka ghar hun latafaton ki qayamat koi mazaq nahin main aandhiyon mein hun aur khushbuon ka rahbar hun nasib to kisi bazar mein nahin bikte mujhe sanbhaal ke rakh main tera muqaddar hun tu apne jism ki kitni ragon ko katega main tere dil nahin tere lahu ke andar hun bada azab hai apne se aashna hona mera ye dukh hai ki main aagahi ki zad par hun tu mujh ko dekh to sakta hai chhu nahin sakta ye jaan le ki main shishe ke ghar ke andar hun 'qamar' hua hun main khushbu ke batn se paida yahi sabab hai ki dosh-e-hawa ke upar hun