pyas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe ek zamana teri aankhon mein samana chahe aisi lahron mein nadi par ki hasrat kis ko ab to jo aae yahan dub hi jaana chahe aaj bikne sar-e-bazar main khud aaya hun kyun mujhe koi kharidar banana chahe mujh mein aur tujh mein hai ye farq to ab bhi qaim tu mujhe chahe magar tujh ko zamana chahe kabhi izhaar-e-mohabbat kabhi shikwon ke liye tujh se milne ka koi roz bahana chahe jis ko chhune se mera jism sulag uttha tha dil phir ek bar usi chhanw mein jaana chahe us ke jazbaat se yun khel raha hun 'saghar' jaise pani mein koi aag lagana chahe