pyase ko har qatra sagar lagta hai har manzar ab us ka manzar lagta hai hum ne apne qad ko itna khinch liya jab bhi uthte hain chhat mein sar lagta hai aaya hai wo jab to koi baat kare us ki is khamoshi se dar lagta hai hoti hai tab apne ki pahchan hamein pith mein jab bhi koi khanjar lagta hai milta hai wo jab bhi aa kar khwabon mein yaadon ka ek mela shab-bhar lagta hai din-bhar khwab nazar aate hain mahlon ke sham dhale foot-path pe bistar lagta hai warna to hain 'shokh' faqat kuchh diwaren wo jab aa jata hai to ghar lagta hai