mausam to badalta hai badal jae to kya ho phulon se jo khushbu bhi nikal jae to kya ho jata hun kadi dhup mein parchhain ke hamrah sahra mein ye parchhain bhi jal jae to kya ho ye mashwira-e-zabt bhi taslim hai lekin aansu meri aankhon se nikal jae to kya ho mahtab sahaara hai shab-e-zist ka 'fakhir' ye zard sa mahtab bhi dhal jae to kya ho