pyasi dharti mang rahi hai jag ke data pani de sagar sagar jal-thal kar de dariya dariya pani de tu hi awwal tu hi aakhir tu hi rab tu hi mabud duniya ki har ek badai tujh ko zeba pani de har rangat mein teri khushbu har khushbu mein tera rang zarra zarra nahin kisi ka sab kuchh tera pani de tujh ko to malum hai tere bandon ki hajat kya hai apni is makhluq pe thodi shafqat farma pani de jaane kitne hath uthe hain teri jaanib hasrat se in hathon ki laj bacha le rahm-sarapa pani de sawan to pyasi dharti par aag jala kar chala gaya kam se kam bhadon hi kar de daman gila pani de phulon se pakiza chehre shabnam se masum badan khwabon se nazuk sayon ko aur na tarsa pani de tufani sailab se hat kar sukhe mausam se kuchh dur jitni gahri pyas ho jis ki us ko utna pani de hum to tujh ko bhula chuke hain bhul na lekin tu hum ko pyasi hai 'parwaz' ye duniya rahmat barsa pani de