pyasi thi ye khud mere lahu ki thi tez chhuri rag-e-gulu ki dil kho ke na main ne justuju ki samjha tha ki bund thi lahu ki tum pas jo aae kho gae hum jab tum na mile to justuju ki sab zakhm ke tanke sath tute hajat na rahi koi rafu ki khud kho gae hum jahan mein aakhir is had pe kisi ki justuju ki dekha ki zamin se aag nikli jab bund tapak padi lahu ki roi wahan shama yan hanse phul wo qabr meri thi ye adu ki wo samne aae ghash hue ye musa ki nazar kahan pe chuki tiron pe kisi ke bant bhi dun khai thi qasam isi lahu ki is dagh ko main ne dil mein rakkha dushman ne na jis ki aarzu ki 'jawed' wo lash kyun uthaen marzi bhi to puchh len adu ki