qabahat aisi bhi kya hai nazar na aane mein

qabahat aisi bhi kya hai nazar na aane mein
ki din guzar den logon se munh chhupane mein

khade hue the kahin waqt ke kinare par
phisal ke ja gire ek aur hi zamane mein

to itne faltu ho jate hain ye khwab ek din
ki phenk dete hain un ko kabad-khane mein

ye ek umr mein jaana yaqini kuchh bhi nahin
baqaya umr kati phir yaqin dilane mein

nikal na pate ghamon ke ghizai jal se hum
jo khud-kafil na hote fareb khane mein

machine dekhti hai sochti hai bolti hai
hamara aap ka ab kaam kya zamane mein

dabi hui thi kahin la-shuur mein 'shahid'
laga hai waqt udasi ko bahar aane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close