yahin gird-o-nawah mein gunjti hai mere qurb-o-jawar se phuTti hai

yahin gird-o-nawah mein gunjti hai mere qurb-o-jawar se phutti hai
koi dur-daraaz ki chap nahin jo sukut ke par se phutti hai

ye jahan-e-majaz hai aks-numa kisi aur jahan ki haqiqaton ka
yahan chand ubharta hai paniyon se dhanak aaina-zar se phutti hai

wahan sari shaguft tazad se hai jahan hairaten odh ke ghumta hun
kahin phul chatan se phutta hai kahin aag chinar se phutti hai

na shumal-o-junub mein dekhta hun na tulu-o-ghurub mein dekhta hun
main wo barq qulub mein dekhta hun jo tajalli-e-yar se phutti hai

tere arz-o-sama mein jo garmiyan hain wo usi ki nufuz-paziriyan hain
ye jo mauj-e-hararat umadti hui mere dil ke bukhar se phutti hai

liye baithe hain aaina tirgi mein abhi chashm-ba-rah hain dekhte hain
pas-o-pesh se phutti hai wo kiran ki yamin-o-yasar se phutti hai

kahin wadi-e-nur mein ruh ke saz pe hamdiya git alapta hun
koi jharne si ek nashatiya dhun meri subh ke tar se phutti hai

ye to aks hazar shuaon ke hain jo ki ek hi aks mein dhal gae hain
kai shams-o-nujum ki raushni hai jo hamare ghubar se phutti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close