tamam khushiyan tamam sapne hum ek duje ke nam kar ke nibhaen ulfat ki sari rasmen wafaon ka ehtimam kar ke na dur dil se kabhi tu jaana dil-o-jigar mein maqam kar ke piyala-e-ishq ulat na dena ai saqiya mai-ba-jam kar ke rahi na mujh mein sakat zara bhi ki zulm tere sahun musalsal milega kya tujh ko ai sitamgar ghamon ka yun azhdaham kar ke main in ki nazron ke tir kha kar tadap raha hun yahan pe lekin wo kitne be-fikr lag rahe hain sukun mera haram kar ke mitani hai jo dilon ki duri to falsafa hai ye aazmuda charagh-e-ulfat jalaen hum tum dilon ki nafrat ko ram kar ke masarraton ke husul ka hai jahan mein bas ek yahi tariqa ki sadgi se nibah kar lo talab ke jin ko ghulam kar ke jahan-e-dil ki is iztirari se bahar aa kar chalo chalen 'shad' khushi ki mahfil ko phir sajaen udasiyon ko haram kar ke