qabr se qahr ke aasar nikal aate hain khanqahon mein bhi darbar nikal aate hain udti padti hui be-kar si afwahon par surkhiyan odh ke akhbar nikal aate hain gham ke sailab mein hum dubte itraate hain kabhi us par to is par nikal aate hain itni mayusi hai ab zakhm ke bazaron mein aansuon ke bhi kharidar nikal aate hain wo to jaan le ke musallam hain wafadari mein hum to sar de ke bhi ghaddar nikal aate hain jab bhi ad jate hain har haal mein baiat pe yazid phir kafan odh ke inkar nikal aate hain wo mohabbat ho siyasat ho ki ho amn ki jang ab to har mod pe bazar nikal aate hain gham mein dubi hui bad-haal si sachchai par ladkhadate hue ashaar nikal aate hain