qad ke lihaz se to sabhi aasman the hum jaise ba-kamal magar be-nishan the jite na the guzarte rahte the roz-o-shab sansen na thin qadam-ba-qadam imtihan the tanha nihatte ladte rahe zindagi ki jang lashkar tha sath aur na tir-o-kaman the ai ajnabi na puchh udasi ka majra wo log kho gae hain jo basti ki jaan the rishton ki unch-nich se waqif na tha 'hanif' mere aziz mujh se bahut bad-guman the