zamin ke chand-sitaron ko nind aati hai hayat-bakhsh bahaaron ko nind aati hai abhi chaman ka muqaddar chamak nahin sakta abhi chaman ki bahaaron ko nind aati hai janaza ashkon ka palkon ke dosh par hai abhi isi liye to nazaron ko nind aati hai nizam-e-bazm-e-gulistan badal gaya shayad chaman ki god mein kharon ko nind aati hai ab inqilab-e-zamana ki fikr kaun kare teri nigah ke maron ko nind aati hai na dub jae kahin nabz-e-zindagi 'maikash' sahar ka waqt hai taron ko nind aati hai