qadah liye hue gul misl-e-baada-khwar aaya khizan chaman se gai mausam-e-bahaar aaya kisi tariq se dil mein agar ghubar aaya hua yaqin ye mujh ko wo shah-sawar aaya tamam umr yun hi ho gai basar apni shab-e-firaq gai roz-e-intizar aaya gul-e-sawar-o-payaada shikast kha gae sab chaman mein jab tan-e-tanha wo shahsawar aaya khabar kare koi zahid ko aae bahr-e-madad shikast-e-tauba ko phir mausam-e-bahaar aaya sharab kyon na chale fasl-e-gul mein ai zahid ki nahren jari huin mausam-e-bahaar aaya diye falak ne mere sar ko katte hi gul-dagh gila nahin koi panw tale jo khar aaya chaman mein koi gul-e-tar jo shakh par dekha to mujh ko yaad wo mahbub nai-sawar aaya kabhi jo sair-e-chaman ko wo nai-sawar gaya gul-e-piyaada ye samjhe ki gul-sawar aaya lab us ke pista zaqan seb aankhen hain baadam khule jo dant hansi mein nazar anar aaya jo gosh-e-gul na sune bagh mein to kya chaara qafas se nala-e-bulbul hazar bar aaya teri sawari mein kab panj shakhe hain ai sarw jilau mein sehn-e-gulistan se hai chinar aaya shikast pai hai tauba ki tarah us ko bhi hamare pas jo ai mai-kasho khumar aaya ye nazuki ke hain mani ke bagh mein wo gul qarib aatish-e-gul jo gaya bukhar aaya kabhi na qatra diya tu ne saqiya mujh ko udhar na aatish-e-mai ka koi sharar aaya misal-e-sang-e-garan jaan nahin jo baith rahun ki is jahan mein hun surat-e-sharar aaya laga jo tir tera sina-e-mushabbak mein main khush hua ki mere dam mein shikar aaya dikha ke bagh mein aankhen chadhi hui apni wo nashsha dida-e-nargis se aaj utar aaya