rulaega aansu bahana hamara hansi tum na samjho rulana hamara sati shama parwane ke sath hogi jalaega us ko jalana hamara ye phoda jo phuta to achchha na hoga samajh bujh kar dil dukhana hamara bas ab zindagi bediyon mein kategi na utrega panw se bana hamara lipatte hain pariyon se sae ki surat junun bhi hai kya aaqilana hamara agar raaz ifsha ho apne junun ka qadam chume bahlol-e-dana hamara barahman shiwale mein masjid mein waiz jahan mein nahin ab thikana hamara rasai dar-e-yar tak muddaa hai gadai bhi hai ek bahana hamara kahan chhod kar jaiye un gulon ko ye shoale hain aur aashiyana hamara nasibon mein likkha hai wo khal-bini tapanche ka chharra hai dana hamara na aaenge hum khana-abaad sahab agar nagawara hai aana hamara tumhaare tajassus mein aise hue gum hamein bhi na sujha thikana hamara mohabbat ke kanon se ai 'bahr' suniye har ek sher hai aashiqana hamara