qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai chale kitna hi koi bach ke thokar kha hi jata hai nazar ho khwah kitni hi haqaeq-ashna phir bhi hujum-e-kashmakash mein aadmi ghabra hi jata hai khilaf-e-maslahat main bhi samajhta hun magar naseh wo aate hain to chehre par taghayyur aa hi jata hai hawaen zor kitna hi lagaen aandhiyan ban kar magar jo ghir ke aata hai wo baadal chha hi jata hai shikayat kyun ise kahte ho ye fitrat hai insan ki musibat mein khayal-e-aish-e-rafta aa hi jata hai shagufon par bhi aati hain balaen yun to kahne ko magar jo phul ban jata hai wo kumhla hi jata hai samajhti hain maal-e-gul magar kya zor-e-fitrat hai sahar hote hi kaliyon ko tabassum aa hi jata hai