phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum parde phir aasman ke uthae hue hain hum chhai hui hai ishq ki phir dil pe be-khudi phir zindagi ko hosh mein lae hue hain hum jis ka har ek juzw hai iksir-e-zindagi phir khak mein wo jins milae hue hain hum han kaun puchhta hai khushi ka nahufta raaz phir gham ka bar dil pe uthae hue hain hum han kaun dars-e-ishq-e-junun ka hai khwast-gar aae ki har sabaq ko bhulae hue hain hum aae jise ho jada-e-rifat ki aarzu phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum baiat ko aae jis ko ho tahqiq ka khayal kaun-o-makan ke raaz ko pae hue hain hum hasti ke dam-e-sakht se ukta gaya hai kaun kah do ki phir giraft mein aae hue hain hum han kis ke pa-e-dil mein hai zanjir-e-ab-o-gil kah do ki dam-e-zulf mein aae hue hain hum han kis ko justuju hai nasim-e-faragh ki aasudgi ko aag lagae hue hain hum han kis ko sair-e-arz-o-sama ka hai ishtiyaq dhuni phir us gali mein ramae hue hain hum jis par nisar kaun-o-makan ki haqiqaten phir 'josh' us fareb mein aae hue hain hum