qadam jo rah-e-mohabbat mein thakne lagta hai har ek zarra-e-manzil chamakne lagta hai wo jis ne pi ho zara si bhi eqtidar ki mai har ek bazm mein kya kya bahakne lagta hai banane wali ho paiwand-e-khak jis ko hawa wo ghuncha waqt se pahle chatakne lagta hai nigah-e-shauq mein shamil jo ho khulus-o-niyaz naqab-e-ru-e-darakhshan sarakne lagta hai tumhaari mahki hui zulf ke tasawwur se mera jahan-e-takhayyul mahakne lagta hai kabhi kabhaar jo hoti hai chah pine ki nigah-e-naz ka saghar chhalakne lagta hai qarib-e-sham hawaen jo aah bharti hain kisi ki yaad ka kanta khatakne lagta hai shab-e-firaq ki zulmat-farosh wadi mein wo mahtab-e-tamanna chamakne lagta hai daba chuka hun jise khak-e-dil mein main ya-rab wo shoala az-sar-e-nau kyon bhadakne lagta hai ruka hua tha jo aankhon mein jaane kyon 'maghmum wo bund bund lahu phir tapakne lagta hai